
How Do I Manage My Birds???
How Do I Manage My Birds
Bird keeping mere liye sirf birds ko feed karna nahi, balki unki daily care, health aur hygiene ka bhi naam hai. Ye meri kuch daily practices hain jo main apne birds ko manage karne ke liye follow karta hoon.
1. Fresh Water 💧
Meri pehli practice hai ke main raat ko sabhi birds ke water pots hata deta hoon, including un pairs ke bhi jinke chicks hain. Phir subah suraj tuloo hote hi main sabhi birds ko fresh aur clean water provide karta hoon. Iska faida ye hai ke birds ko subah fresh water milta hai aur woh healthy rehte hain. Sabse bada faida ye bhi hai ke main raat ko water pots hata kar unhein properly wash aur clean karke ready kar leta hoon. Aur kyun ke birds piyase hote hain, is liye subah fresh water milte hi woh foran aur sahi miqdaar mein pani pee lete hain.
2. Daily Bird Observation 👀
Jab main apni aviary mein enter hota hoon, mera sabse pehla kaam hota hai ke main saare birds ko one by one check karta hoon aur unki activity observe karta hoon. Agar koi bird sust nazar aaye, sick lage ya uski activity mein koi unusual change ho, to main uski condition ko samajhne ki koshish karta hoon aur zarurat ke mutabiq uski care ya treatment karta hoon. Or uswaqt bird piyaasy bhi hote hai to foran medicen wala pani peejate hai.
3. Soft Food 🍳
Meri third practice hai ke main subah birds ko soft food provide karta hoon. Ye meri daily feeding routine ka ek important part hai, especially breeding birds aur chicks ke liye.
4. Mix Seed 🌾
Meri fourth practice hai ke main dopahar mein birds ko mix seed provide karta hoon. Is tarah birds ko din ke different times par different types ki food milti rehti hai. Or bachho wale pairs ko do time soft food sham mai seed mix.
Thank You
This is my practice — How I Manage My Birds.
Abdullah Jafar
AJ BIRDS
Karachi, Pakistan 🇵🇰