
Cockatiels
Question۔
میں اپنے زاتی تجربے پر کہہ رھا کہ سواۓ چند اچھے لوگوں کے ھمارے جتنے بھی نامور سینیرز لوگ ہیں وہ اپنی بریڈ میں سے اچھا مال اپنے لیئے سائیڈ کر کے جو ہلکہ مال یا اپنے شیڈ کاکچرا مال ھوتا وہ آگے نئے شوقین لوگوں کو یا زیادہ سمجھ نہ رکھنے والوں کو اچھے داموں فروخت کر دیتے۔ اگر کوئی بولے کہ نہیں مجھے وہ والا پیس دیں تو جواب آتا یہ نہیں سیل کرنا یہ اپنے لیئے ھولڈ کیا ھوا ھے۔ گزارش ہیکہ سینیرز اچھے لوگ دوسروں کو بھی اس بات پہ کنونس کریں ھدایت والا راستہ دکھائیں تا کہ یہ ھابی شوق پھلے پھولے۔
Mein ap ki opinion se agree ya disagree to nahi kronga but apna opinion de deta hun.
Her breeder chahay wo seller ho ya buyer, ki khahish hai or rahay g k us ki collection mein achay birds hon or yeh us ka right bhi hai.
Genuine breeders ya exhibitors quantity ki bajaye quality pe focused hotay hain. Wo apnay best birds hi ko breed kerwatay hain or aisay scenerio mei limited pairs hi breed kerwaye jatay hain. Jin ka bunyadi maqsad breeders k apni lines ko behter banana hai. Aisi situation mein un k pass birds offer kerne ki capacity kam hoti hai or Jo birds wo offer kertay hain ya ker saktay hain wo usually selection k baad extra birds hotay hain. Breeders apni core lines k birds usually her kisi ko offer nahi kertay or na hi ker saktay hain (is ki multiple reasons hain) or yeh un ka right hai.
Ager wo her bird hi de den to khud kya keren gay? But Jo birds ek reputable breeder offer krega wo trash nahi hotay ager history mojood ho or clear ho. Ager unhe sahi se treat or breed karwaya jaye or luck bhi ap ka sath de to achay results atay hain.
Doosri janib commercial breeders k pass range ziyada hoti hai. Commercial aspect ki waja se ziyada birds milnay k chance bhi ziyada hotay hain means ap ko jo bird chahiye wo “usually” mil jata hai.
Mai ek exhibitor bhi hun to us angle se ap ko samjhanay ki koshish kerta hun. Achi reputation k clubs mein pro breeders or novice (beginner) ki classes alag hain. Novice ko pro category mein anay k liye pehle novice class mein participate ker k apni breeding ko prove kerna hota hai k wo eligible hai upper class mein participate kerne k liye. Is ko asaan alfaaz mei beyan kiya jaye to kuch yun ho ga k ek bachay ya untrained driver ko driving sikhanay k liye Ferrari nahi di jati or na hi di jani chahiye. in birds ki development pe boht dedication, determination, passion, time, or money lagti hai tab hi ja k birds develop hotay hain or sab ko achay dikhtay hain. Ek hobbyist kabhi nahi chahay ga k Jin bird ko us ne itni mehnet se develop kiya hai wo kisi inexperienced ki keeping mei kharab ho jayen. Ferrari wali example sirf exhibition hobby ko samjhanay k liye di hai or umeed kerta hun k koi bhai is se dil’berdaashta nahi ho ga.
Is ka solution kya hai?
Is ka proper tareeqa yeh hai k sab se pehle to breeder ki reputation check ki jaye or jo bhi breeder final kiya jaye is k pass se birds ki availability poochi jaye. Birds mil jayen to theek, na available hon to book kerwayen (ager breeder commitment poori ker sakay or agree kere). Koi bhi bird buy kerne se pehle bird ki quality k hisab se us ki price ko bhi ird gird se check kiya jaye. Birds complete history jahan tak mumkin hi sakay hasil ki jaye. Line k sath sath history bhi boht important hai isi k bunyad per further development ki ja sakti hai.
Note: Birds living creatures hain machines nahi. Living creatures mei koi bhi cheez hatmi nahi hoti. Ek confirmed breeder bird possible hai k breed na kere. Yeh understanding modern societies mei to pai jati hai but hamaray haan is ka fukdaan hai.
Courtesy: #Ali Warraich bhai
Lahore, Pakistan 🇵🇰